My Experience - How I Cracked Navy AA 144 Batch and Got Selected



How I cracked Navy AA 144 Batch and Got Selected

Hello Sir my name is Yogesh . I am from Haryana District Sonipat. I passed my 12th last year and Now I am pursuing my graduation from MD University Rohtak.

My roll no is G1300021AL NAVY AA 144 BATCH



Sir maine apna 12th ke baad pehla exam mere birthday yaani 14th Sep 2017 ko Jalandhar me dia tha jo ki Navy AA 143 batch ka written exam tha , but tyari kam hone ke karan main exam nhi clear kar paya .Thoda bura laga lekin agle mahine yaani 12th OCT 2017 ko mera SSR Exam ka exam tha maine uske liye preparation start kari or jo kami AA Exam me rh  gayi thi unko sahi kiya
. Maths or Science par focus kia or fir se exam dene gya confidence ke saath thora dar laga lekin achi technique aur strategy use ki phle English or Gk section complete kia 20 min ke andar or 5 min phle Scince or Maths complete kar dia , 10 min baad result aaya or maine exam aur physical kar liya medical bhi fit hua MERIT ka wait kia lekin MERIT me nhi aa paya . Bhut bura laga lekin fir maine socha ki abi SSB ki tyari suru karke dekhte h fir maine din raat SSB ki tyari ki beech me mail aaya ki AA ka exam online hoga sun kar thora dar laga ki ab all India compete karna padega ummed chod di 6 feb ko SSB tha but SCREEN OUT ho gya . 



25 Feb ko muskil se 20  din hi bache the AA ka exam tha fir se maine thora maths science par focus kia or yahi planning banai ki merit ke lie marks English or GK se banenge or Science or Maths ko agar qualify kar lia to bhut hai. Agar Eng +GK ke 35-40 ho jaye or Science or Maths me 25 + bhi honge aram se 60 -65 score ho jayega .  
Yhi plan ke sath exam dia phle Engilsh Fir Gk or baad me Maths v Science kia .25 Negative marking thi islie 90+ ke aspas que solve kiye .
Metro me iab ek ladke ne bataya ki navy sirf approx 1200 candidates ko hi physical ke liye bulagi tab laga ki sayad nhi hoga lekin jab call letter aaya 31 March ko Physical  tha or 27 ko SSR ka bi exam tha uske lie bhi yhi plan banaya or pura jor lagake preparation ki maths aur science par pura focus rakha English or General Knowledge par bi dhyan dia exam qualify kiya lekin push ups me out ho gya ..2 din me AA ke liye Push ups ki tyri ki AA ka physical  Complete  kiya  medical me 2 point bane lekin remedical me fit ho gya Merit me aane ka pura confidence tha qunki Ambala  Centre par mere se upar marks me keval 3 candidates the Airforce ke lie bhi same strategy use ki use bi qualify kia lekin Adaptability Test 2 mai out ho gya fir maine 21 June ka hi wait kia us din bhot dar lag raha tha 11 min 11 Ghante jaisa lag rha tha lekin jab merit list me naam dekha to Bas.... I can't explain my feelings.๐Ÿ˜‚


STRATEGY JO MAINE FOLLOW KI : 





ENGLISH OR GENERAL KNOWLEDGE SE HI MARKS BANTE H AGAR KISI KA MATHS OR SCIENCE WEAK HAI TO US PAR ITNA HI FOCUS KARO KI AADHE QUESTIONS SOLVE KAR PAO
NAVY ME LEKIN HAR SECTION ME PASS HONA JARURI H 25 ME SE AVERAGE 10 MARKS JARROR CHAIYE TO YHI H KI ENGLISH OR GENERAL KNOWLEDGE ME 30-35-40 +  LAO AGAR SCIENCE OR MATHS ME PASS BI HOTE HO TO 25-30 LAO TO MERIT ME AANE SE KOI NHI ROK SAKTA 
IS BAAR AA KI MERIT 47 PAR LAGI H OR SAYAD SSR KI BHI 52 KE APPROX. HAI.



SO BEST OF LUCK ASPIRANTS ✌


For Sharing Your Experience Regarding Written Exams Or SSB . Kindly Email Us on defenceexamtips@gmail.com

Popular posts from this blog

Navy MR 19 September All Shift QUESTIONS